kyun mera haal qissa-KHwan se suno
kyuuñ mirā haal qissa-ḳhvāñ se suno
ye kahānī mirī zabāñ se suno
ġham hī ġham hai mire fasāne meñ
dukh hī dukh hai use jahāñ se suno
mujh se pūchho tum apne jī kā haal
raaz kī baat rāz-dāñ se suno
ġham mire dil meñ tum ho parde meñ
sach to hai tum use kahāñ se suno
chhup gayā hai fasāna-e-'beḳhud'
kabhī tum bhī to qissa-ḳhvāñ se suno
kyun mera haal qissa-KHwan se suno
ye kahani meri zaban se suno
gham hi gham hai mere fasane mein
dukh hi dukh hai use jahan se suno
mujh se puchho tum apne ji ka haal
raaz ki baat raaz-dan se suno
gham mere dil mein tum ho parde mein
sach to hai tum use kahan se suno
chhup gaya hai fasana-e-'beKHud'
kabhi tum bhi to qissa-KHwan se suno
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 188)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.