kyun na afsana-e-gham kaif ka unwan Thahre
kyuuñ na afsāna-e-ġham kaif kā unvāñ Thahre
shiddat-e-dard hī jab dard kā darmāñ Thahre
jis jagah ham sā koī chāk-e-garebāñ Thahre
shauq se aa ke vahāñ fasl-e-bahārāñ Thahre
us ke dāman kī taraf haath baḌhā.ūñ kaise
jis ke dāman kī mahak sho.alagī-e-jāñ Thahre
manzileñ aatī haiñ aur aa ke guzar jaatī haiñ
dekhiye jā ke kahāñ qāfila-e-jāñ Thahre
pichhle va.ade jo nahīñ yaad to kyā baat huī
phir koī ahd-e-vafā phir koī paimāñ Thahre
aap ko dekhūñ to ho duur mirī tishna-labī
aap aa jaa.eñ to jazbāt kā tūfāñ Thahre
shoḳhī-e-dast-e-sabā se to koī kuchh na kahe
mere sar tohmat-e-gesū-e-pareshāñ Thahre
kyun na afsana-e-gham kaif ka unwan Thahre
shiddat-e-dard hi jab dard ka darman Thahre
jis jagah hum sa koi chaak-e-gareban Thahre
shauq se aa ke wahan fasl-e-bahaaran Thahre
us ke daman ki taraf hath baDhaun kaise
jis ke daman ki mahak shoalagi-e-jaan Thahre
manzilen aati hain aur aa ke guzar jati hain
dekhiye ja ke kahan qafila-e-jaan Thahre
pichhle wade jo nahin yaad to kya baat hui
phir koi ahd-e-wafa phir koi paiman Thahre
aap ko dekhun to ho dur meri tishna-labi
aap aa jaen to jazbaat ka tufan Thahre
shoKHi-e-dast-e-saba se to koi kuchh na kahe
mere sar tohmat-e-gesu-e-pareshan Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.