kyun na ho dad-talab himmat-e-mardana-e-dil
Interesting Fact
1935
kyuuñ na ho dād-talab himmat-e-mardāna-e-dil
mā.il-e-husn-e-jahāñ-soz hai parvāna-e-dil
ek ibrat kā muraqqa.a hai alam-ḳhāna-e-dil
hasrat-o-yās kā afsāna hai afsāna-e-dil
jis ko rahtī hai kisī aur ke jalve kī talāsh
us ne dekhā hī nahīñ jalva-e-jānāna-e-dil
ab maiñ samjhā ki mohabbat meñ asar hai kitnā
log sunte haiñ baḌe shauq se afsāna-e-dil
qābil-e-dād hai ye shauq-e-talab ai saaqī
le ke aayā huuñ maiñ TuuTā huā paimāna-e-dil
ik zamāne ko jilā detā hai jal kar ai 'arsh'
shola-e-barq-e-jahāñ-soz hai parvāna-e-dil
kyun na ho dad-talab himmat-e-mardana-e-dil
mail-e-husn-e-jahan-soz hai parwana-e-dil
ek ibrat ka muraqqa hai alam-KHana-e-dil
hasrat-o-yas ka afsana hai afsana-e-dil
jis ko rahti hai kisi aur ke jalwe ki talash
us ne dekha hi nahin jalwa-e-jaanana-e-dil
ab main samjha ki mohabbat mein asar hai kitna
log sunte hain baDe shauq se afsana-e-dil
qabil-e-dad hai ye shauq-e-talab ai saqi
le ke aaya hun main TuTa hua paimana-e-dil
ek zamane ko jila deta hai jal kar ai 'arsh'
shola-e-barq-e-jahan-soz hai parwana-e-dil
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 35)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.