kyun na mujhko tera pata mil jae
kyuuñ na mujh ko tirā patā mil jaa.e
DhūñDne vāloñ ko ḳhudā mil jaa.e
vaqt kī rahguzār meñ shāyad
koī mujh sā shikasta-pā mil jaa.e
ham ko tanhā.iyāñ nasīb raheñ
aur tumheñ ham sā dūsrā mil jaa.e
aks huuñ aur bhaTak rahī huuñ maiñ
chāhtī huuñ ki ā.īna mil jaa.e
yā to is dasht meñ shajar ho koī
yā mujhe ghar kā rāsta mil jaa.e
ek jaisī udāsiyāñ kab tak
dard dil ko koī nayā mil jaa.e
tū mujhe is tarah milā jaise
raat ko chāñd kā diyā mil jaa.e
kyun na mujh ko tera pata mil jae
DhunDne walon ko KHuda mil jae
waqt ki rahguzar mein shayad
koi mujh sa shikasta-pa mil jae
hum ko tanhaiyan nasib rahen
aur tumhein hum sa dusra mil jae
aks hun aur bhaTak rahi hun main
chahti hun ki aaina mil jae
ya to is dasht mein shajar ho koi
ya mujhe ghar ka rasta mil jae
ek jaisi udasiyan kab tak
dard dil ko koi naya mil jae
tu mujhe is tarah mila jaise
raat ko chand ka diya mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.