kyun na rah pae is jahan se pare
kyuuñ na rah paa.e is jahāñ se pare
aur bhī the jahāñ yahāñ se pare
ham jahāñ paas tere aa baiThe
tū uThā ho gayā vahāñ se pare
talḳhiyāñ aur baḌh ga.iiñ dil kī
jab huiiñ talḳhiyāñ zabāñ se pare
ye jo tū merī rah meñ haa.il hai
jaane kab hogā darmiyāñ se pare
maiñ to apne bhī ās-pās nahīñ
aur ho jā.ūñ maiñ kahāñ se pare
mujh pe saaya na Dāliye apnā
mujh ko rahnā hai sā.ebāñ se pare
ishq vo mār-e-āstīñ jis kā
zahr utrā hai jism-o-jāñ se pare
maar kar Daal de jo chhāñv meñ
ham bhale aise mehrbāñ se pare
yuuñ to vīrāñ hai āshiyāñ bhī magar
ḳhaak uḌā.eñge āshiyāñ se pare
ham jo kaasa uThā.e aa baiThe
ab karo ham ko āstāñ se pare
kyun na rah pae is jahan se pare
aur bhi the jahan yahan se pare
hum jahan pas tere aa baiThe
tu uTha ho gaya wahan se pare
talKHiyan aur baDh gain dil ki
jab huin talKHiyan zaban se pare
ye jo tu meri rah mein hail hai
jaane kab hoga darmiyan se pare
main to apne bhi aas-pas nahin
aur ho jaun main kahan se pare
mujh pe saya na Daliye apna
mujh ko rahna hai saeban se pare
ishq wo mar-e-astin jis ka
zahr utra hai jism-o-jaan se pare
mar kar Dal de jo chhanw mein
hum bhale aise mehrban se pare
yun to viran hai aashiyan bhi magar
KHak uDaenge aashiyan se pare
hum jo kasa uThae aa baiThe
ab karo hum ko aastan se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.