kyun naseha udhar ko na munh kar ke soiye
kyuuñ nāsehā udhar ko na muñh kar ke soiye
dil to kahe hai saath hī dilbar ke soiye
ghabrā ke us kā kahnā vo haa.e shab-e-visāl
bas bas zarā ab aap to haT kar ke soiye
maiñ aap se ḳhafā huuñ ki tum rūThe ho paḌe
bohtān mere sar pe na yuuñ dhar ke soiye
sote meñ bhī jo dekhiye to chauñk hī uThe
kis tarah saath aise sitamgar ke soiye
tum lutf-e-nashsha dekho zarā tum ko dekheñ ham
kyā lutf hai ki lete hī sāġhar ke soiye
mash.hūr hai ki suulī pe bhī niiñd aatī hai
yā-rab shab-e-firāq meñ kyūñkar ke soiye
takiya to aap sar ke tale roz rakhte haiñ
ab haath mere rakh ke tale sar ke soiye
vo muskurā rahe ho lo vo aañkh khul ga.ī
yuuñ kaun māntā hai ki jag kar ke soiye
pās-e-adū to dekho hameñ hukm hai 'nizām'
shab ko kaheñ na paas mire ghar ke soiye
kyun naseha udhar ko na munh kar ke soiye
dil to kahe hai sath hi dilbar ke soiye
ghabra ke us ka kahna wo hae shab-e-visal
bas bas zara ab aap to haT kar ke soiye
main aap se KHafa hun ki tum ruThe ho paDe
bohtan mere sar pe na yun dhar ke soiye
sote mein bhi jo dekhiye to chaunk hi uThe
kis tarah sath aise sitamgar ke soiye
tum lutf-e-nashsha dekho zara tum ko dekhen hum
kya lutf hai ki lete hi saghar ke soiye
mashhur hai ki suli pe bhi nind aati hai
ya-rab shab-e-firaq mein kyunkar ke soiye
takiya to aap sar ke tale roz rakhte hain
ab hath mere rakh ke tale sar ke soiye
wo muskura rahe ho lo wo aankh khul gai
yun kaun manta hai ki jag kar ke soiye
pas-e-adu to dekho hamein hukm hai 'nizam'
shab ko kahen na pas mere ghar ke soiye
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 282)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.