kyun sadgi se uski takrar ho gai hai
kyuuñ sādgī se us kī takrār ho ga.ī hai
tahzīb se tabī.at bezār ho ga.ī hai
niklī zabān se thī chhoTī sī baat lekin
mābain do diloñ ke dīvār ho ga.ī hai
kaliyāñ khilā rahī thī shoḳhī nasīm-āsā
jab tanz ban ga.ī hai talvār ho ga.ī hai
duniyā ke mashġhaloñ meñ ye ghir gayā hai aisā
ab dil se baat karnī dushvār ho ga.ī hai
pherī nigāh mujh se jaise na jānte hoñ
āñkhoñ kī sa.ī-e-aḳhfā iz.hār ho ga.ī hai
uupar tale lage haiñ ambār har tarah ke
nagrī ye hāfiza kī bāzār ho ga.ī hai
aa.ī hai arz saarī ab us ke dā.ere meñ
taḳh.īl pā-ba-jaulāñ pur-kār ho ga.ī hai
haamī bharī thī dil ne taġh.īr-e-rañg dekho
jab tak laboñ pe aa.ī inkār ho ga.ī hai
kyun sadgi se us ki takrar ho gai hai
tahzib se tabiat bezar ho gai hai
nikli zaban se thi chhoTi si baat lekin
mabain do dilon ke diwar ho gai hai
kaliyan khila rahi thi shoKHi nasim-asa
jab tanz ban gai hai talwar ho gai hai
duniya ke mashghalon mein ye ghir gaya hai aisa
ab dil se baat karni dushwar ho gai hai
pheri nigah mujh se jaise na jaante hon
aankhon ki sai-e-aKHfa izhaar ho gai hai
upar tale lage hain ambar har tarah ke
nagri ye hafiza ki bazar ho gai hai
aai hai arz sari ab us ke daere mein
taKHil pa-ba-jaulan pur-kar ho gai hai
hami bhari thi dil ne taghir-e-rang dekho
jab tak labon pe aai inkar ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.