kyun tirgi si chhai charaghon ke darmiyan
kyuuñ tīrgī sī chhā.ī charāġhoñ ke darmiyāñ
kyā husn chhup gayā hai naqāboñ ke darmiyāñ
nāsūr ban gayā ka.ī sāloñ ke darmiyāñ
ik zaḳhm jaane kaisā hai chhāloñ ke darmiyāñ
vo niiñd meñ bhī aañkh se ojhal na ho janāb
us ko basā liyā hai nigāhoñ ke darmiyāñ
shiddat hai pyaas meñ to sarovar ke jā qarīb
kab tishnagī miTī hai sarāboñ ke darmiyāñ
aulād pe agar jo musībat na hotī aaj
kyuuñ maañ kā haath ruktā nivāloñ ke darmiyāñ
yuuñ hī janāb ham ko ye ohda nahīñ nasīb
sāloñ hai sar khapāyā kitāboñ ke darmiyāñ
jo ġhaur se paḌhoge savāloñ ko baar baar
mil jā.egā javāb savāloñ ke darmiyāñ
sāhil ko toḌne kī himāqat kiye baġhair
lahreñ uchhal rahī haiñ kināroñ ke darmiyāñ
miltā nahīñ hai kuchh bhī taraddud kiye baġhair
kāñTe bhare paḌe haiñ gulāboñ ke darmiyāñ
shāyad mire sanam ne kiyā yaad mujh ko aaj
hichkī tabhī hai aa.ī nivāloñ ke darmiyāñ
kyun tirgi si chhai charaghon ke darmiyan
kya husn chhup gaya hai naqabon ke darmiyan
nasur ban gaya kai salon ke darmiyan
ek zaKHm jaane kaisa hai chhaalon ke darmiyan
wo nind mein bhi aankh se ojhal na ho janab
us ko basa liya hai nigahon ke darmiyan
shiddat hai pyas mein to sarowar ke ja qarib
kab tishnagi miTi hai sarabon ke darmiyan
aulad pe agar jo musibat na hoti aaj
kyun man ka hath rukta niwalon ke darmiyan
yun hi janab hum ko ye ohda nahin nasib
salon hai sar khapaya kitabon ke darmiyan
jo ghaur se paDhoge sawalon ko bar bar
mil jaega jawab sawalon ke darmiyan
sahil ko toDne ki himaqat kiye baghair
lahren uchhal rahi hain kinaron ke darmiyan
milta nahin hai kuchh bhi taraddud kiye baghair
kanTe bhare paDe hain gulabon ke darmiyan
shayad mere sanam ne kiya yaad mujh ko aaj
hichki tabhi hai aai niwalon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.