kyun tere gesu kun gesu bolnan
kyuuñ tire gesū kuuñ gesū bolnāñ
dil meñ aatā hai ki shabbū bolnāñ
pech khā kar dil mirā chakrat meñ hai
zulf kuuñ terī chakābū bolnāñ
bhuul ga.ī aahū kuuñ apnī chaukḌī
tujh nigah kuuñ dām-e-āhū bolnāñ
yā falak kī aarsī meñ hai hilāl
yā kisī kā aks-e-abrū bolnāñ
siikh ga.ī gulshan meñ tere qad satī
sarv par qumrī ne kū kū bolnāñ
kaan meñ hai tere motī āb-dār
yā kisī āshiq kā aañsū bolnāñ
sāmne us chehra-e-gulfām ke
har gul-e-ḳhushbū kuuñ ḳhud-rav bolnāñ
husn ke lashkar ke rāvat haiñ do-chashm
zulf-o-lab shab-ḳhūñ kā qaabū bolnāñ
ab charāġh-e-aql gul karnī 'sirāj'
soz-e-dil señ ek yaahū bolnāñ
kyun tere gesu kun gesu bolnan
dil mein aata hai ki shabbu bolnan
pech kha kar dil mera chakrat mein hai
zulf kun teri chakabu bolnan
bhul gai aahu kun apni chaukDi
tujh nigah kun dam-e-ahu bolnan
ya falak ki aarsi mein hai hilal
ya kisi ka aks-e-abru bolnan
sikh gai gulshan mein tere qad sati
sarw par qumri ne ku ku bolnan
kan mein hai tere moti aab-dar
ya kisi aashiq ka aansu bolnan
samne us chehra-e-gulfam ke
har gul-e-KHushbu kun KHud-raw bolnan
husn ke lashkar ke rawat hain do-chashm
zulf-o-lab shab-KHun ka qabu bolnan
ab charagh-e-aql gul karni 'siraj'
soz-e-dil sen ek yahu bolnan
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 513)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.