kyun tu ne wa kiya tha band-e-qaba chaman mein

kyun tu ne wa kiya tha band-e-qaba chaman mein
Sagheer Ali Murawat
MORE BYSagheer Ali Murawat
kyuuñ tū ne vā kiyā thā band-e-qabā chaman meñ
uḌtī phire hai gul se bulbul ḳhafā chaman meñ
har samt ab sabā jo phirtī hai ḳhaak uḌātī
bulbul ke par paḌe haiñ kyā jā-ba-jā chaman meñ
nargis kī aañkh tujh par paḌtī hai be-tarah sī
mat vaqt-e-shām jaanā bahr-e-ḳhudā chaman meñ
juuñ laala dāġh-e-dil yaañ phir jal uThā hai shāyad
jaatā hai sair karne vo bevafā chaman meñ
jeb apnā gul ne phāḌā bulbul muī 'muravvat'
kyuuñ apne ġham kā qissa tū ne kahā chaman meñ
kyun tu ne wa kiya tha band-e-qaba chaman mein
uDti phire hai gul se bulbul KHafa chaman mein
har samt ab saba jo phirti hai KHak uDati
bulbul ke par paDe hain kya ja-ba-ja chaman mein
nargis ki aankh tujh par paDti hai be-tarah si
mat waqt-e-sham jaana bahr-e-KHuda chaman mein
jun lala dagh-e-dil yan phir jal uTha hai shayad
jata hai sair karne wo bewafa chaman mein
jeb apna gul ne phaDa bulbul mui 'murawwat'
kyun apne gham ka qissa tu ne kaha chaman mein
- Book : Noquush (Pg. B-420 E430)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.