kyun ye kahte ho kya nahin malum
kyuuñ ye kahte ho kyā nahīñ ma.alūm
kyā mirā mudda.ā nahīñ ma.alūm
dard-e-dil kī davā nahīñ ma.alūm
ab umīd-e-shifā nahīñ ma.alūm
jab se tum ne nigāh pherī hai
dil ko kyā ho gayā nahīñ ma.alūm
shikva samjho na tum to kah bhī duuñ
tum ko rasm-e-vafā nahīñ ma.alūm
jaan lene kī Thaan lī hai kyā
kyuuñ ho mujh se judā nahīñ ma.alūm
shikva-e-baḳhT hai abas 'nādir'
tujh ko rab kī razā nahīñ ma.alūm
kyun ye kahte ho kya nahin malum
kya mera muddaa nahin malum
dard-e-dil ki dawa nahin malum
ab umid-e-shifa nahin malum
jab se tum ne nigah pheri hai
dil ko kya ho gaya nahin malum
shikwa samjho na tum to kah bhi dun
tum ko rasm-e-wafa nahin malum
jaan lene ki Than li hai kya
kyun ho mujh se juda nahin malum
shikwa-e-baKHT hai abas 'nadir'
tujh ko rab ki raza nahin malum
- Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 148)
- Author : Abul Khayal Nadir Shahjahanpuri
- Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society Jhansi U.P (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.