kyun yurish-e-tarab mein bhi gham yaad aa gae
kyun yurish-e-tarab mein bhi gham yaad aa gae
Syed Ehtisham Husain
MORE BYSyed Ehtisham Husain
kyuuñ yūrish-e-tarab meñ bhī ġham yaad aa ga.e
sochā tire karam ko sitam yaad aa ga.e
ai dost mai-kade meñ ye kaisī havā chalī
sab fitna-hā-e-dair-o-haram yaad aa ga.e
raushan abhī huā thā sar-e-jāda-hayāt
ik kākul-e-siyāh ke ḳham yaad aa ga.e
ab kyā dikhā rahā hai rah-e-māh-o-kahkashāñ
nāseh kisī ke naqsh-e-qadam yaad aa ga.e
ek ek kar ke TuuT chuke haiñ ḳhirad ke but
but-ḳhāna-e-junūñ ke sanam yaad aa ga.e
kyun yurish-e-tarab mein bhi gham yaad aa gae
socha tere karam ko sitam yaad aa gae
ai dost mai-kade mein ye kaisi hawa chali
sab fitna-ha-e-dair-o-haram yaad aa gae
raushan abhi hua tha sar-e-jada-hayat
ek kakul-e-siyah ke KHam yaad aa gae
ab kya dikha raha hai rah-e-mah-o-kahkashan
naseh kisi ke naqsh-e-qadam yaad aa gae
ek ek kar ke TuT chuke hain KHirad ke but
but-KHana-e-junun ke sanam yaad aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.