kyunkar aaun miyan palaT kar main
kyūñkar aa.uuñ miyāñ palaT kar maiñ
ḳhush bahut huuñ use lipaT kar maiñ
dosto huuñ baḌā baḌe ghar kā
is liye rah gayā huuñ baT kar maiñ
mujh ko milnā thā har kisī se aur
jaane kyoñ rah gayā huuñ kaT kar maiñ
merā uslūb merā apnā hai
sochtā huuñ sabhī se haT kar maiñ
mere andar hai ishq kā bārūd
so dikhā.ūñgā tujh ko phaT kar maiñ
niiñd se hāthā-pā.ī karnī thī
gir paḌā ḳhvāb par jhapaT kar maiñ
ishq thā dard kā sabaq 'mannān'
aur use aa gayā huuñ raT kar maiñ
kyunkar aaun miyan palaT kar main
KHush bahut hun use lipaT kar main
dosto hun baDa baDe ghar ka
is liye rah gaya hun baT kar main
mujh ko milna tha har kisi se aur
jaane kyon rah gaya hun kaT kar main
mera uslub mera apna hai
sochta hun sabhi se haT kar main
mere andar hai ishq ka barud
so dikhaunga tujh ko phaT kar main
nind se hatha-pai karni thi
gir paDa KHwab par jhapaT kar main
ishq tha dard ka sabaq 'mannan'
aur use aa gaya hun raT kar main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.