kyunkar nashat-e-shauq ki muddat guzar gai
kyūñkar nashāt-e-shauq kī muddat guzar ga.ī
ik mauj-e-bū-e-gul idhar aa.ī udhar ga.ī
ik 'umr jis umiid par apnī guzar ga.ī
āḳhir ko jaan bhī usī ummīd par ga.ī
din raat ho ga.e haiñ baham ik maqām par
zulf-e-siyāh jab tire ruḳh par bikhar ga.ī
vo naaz vo ġhurūr vo andāz kyā kaheñ
kis kis tarah na ham pe qayāmat guzar ga.ī
thak kar jo aaj baiTh ga.e rāh-e-'ishq meñ
ai ahl-e-shauq pahlī sī himmat kidhar ga.ī
'asmā' milī bhī koī ḳhushī kī agar ghaḌī
vo bhī ġhamoñ kī yaad meñ yūñhī guzar ga.ī
kyunkar nashat-e-shauq ki muddat guzar gai
ek mauj-e-bu-e-gul idhar aai udhar gai
ek 'umr jis umid par apni guzar gai
aaKHir ko jaan bhi usi ummid par gai
din raat ho gae hain baham ek maqam par
zulf-e-siyah jab tere ruKH par bikhar gai
wo naz wo ghurur wo andaz kya kahen
kis kis tarah na hum pe qayamat guzar gai
thak kar jo aaj baiTh gae rah-e-'ishq mein
ai ahl-e-shauq pahli si himmat kidhar gai
'asma' mili bhi koi KHushi ki agar ghaDi
wo bhi ghamon ki yaad mein yunhi guzar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.