kyunkar rafugari ho dil-e-tar-tar ki
kyūñkar rafūgarī ho dil-e-tār-tār kī
koī ḳhabar sunāo mire ġham-gusār kī
aa jā shab-e-firāq mujhe aa ke thaam le
ik tū hī to amiiñ hai mire intizār kī
chāk-e-jigar na chāk-e-garebāñ kī fikr hai
hai mujh ko fikr dāman-e-sad-dāġhdār kī
ik sail-e-be-karāñ sā hai jazbāt kā hujūm
tuġhyāniyoñ meñ ġharq hai kashtī qarār kī
naġhme bikhar ga.e haiñ fazāoñ meñ duur tak
Dolī bahut qarīb hai fasl-e-bahār kī
pahuñchīñ murādeñ 'arsh pe sajde ke dosh par
kyā kyā bulandiyāñ haiñ mire iḳhtiyār kī
zindān-e-zīst bār-e-nafas aur shauq-e-vasl
ab ho nazar 'zahīr' pe parvardigār kī
kyunkar rafugari ho dil-e-tar-tar ki
koi KHabar sunao mere gham-gusar ki
aa ja shab-e-firaq mujhe aa ke tham le
ek tu hi to amin hai mere intizar ki
chaak-e-jigar na chaak-e-gareban ki fikr hai
hai mujh ko fikr daman-e-sad-daghdar ki
ek sail-e-be-karan sa hai jazbaat ka hujum
tughyaniyon mein gharq hai kashti qarar ki
naghme bikhar gae hain fazaon mein dur tak
Doli bahut qarib hai fasl-e-bahaar ki
pahunchin muraden 'arsh pe sajde ke dosh par
kya kya bulandiyan hain mere iKHtiyar ki
zindan-e-zist bar-e-nafas aur shauq-e-wasl
ab ho nazar 'zahir' pe parwardigar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.