kyunke kare na shahr ko ro ro ujaD chashm
kyūñke kare na shahr ko ro ro ujaaḌ chashm
tūfān hai pahāḌ kuuñ Daalī ukhāḌ chashm
naddī kanār ruukh kā ho hai na baas raast
rau kare bahā.e ashk siiñ mizhgāñ ke jhaaḌ chashm
āshiq kā jaan kyūñke bachegā ki aaj dil
ḳhuuñ ho tarī nigāh siiñ nakase hai phaaḌ chashm
vo ḳhush-nigāh dil maiñ lagā ke gayā hai aag
āñjhū hue haiñ dāna-e-baryān bhaaḌ chashm
tujh teġh abruvāñ ke muqābil huī thī aaj
dil chaak ho rahā hai hamārā darāḌ chashm
'yakrū' kā kuchh gunāh nahīñ sarv-qadd-e-jān
chhaT us ki dekhtā hai tirī taaḌ taaḌ chashm
kyunke kare na shahr ko ro ro ujaD chashm
tufan hai pahaD kun Dali ukhaD chashm
naddi kanar rukh ka ho hai na bas rast
rau kare bahae ashk sin mizhgan ke jhaD chashm
aashiq ka jaan kyunke bachega ki aaj dil
KHun ho tari nigah sin nakase hai phaD chashm
wo KHush-nigah dil main laga ke gaya hai aag
aanjhu hue hain dana-e-baryan bhaD chashm
tujh tegh abruwan ke muqabil hui thi aaj
dil chaak ho raha hai hamara daraD chashm
'yakru' ka kuchh gunah nahin sarw-qadd-e-jaan
chhaT us ki dekhta hai teri taD taD chashm
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.