la ai saqi teri jai ho
lā ai saaqī terī jai ho
koī bhī piine kī shai ho
gulshan meñ sayyād ke hāthoñ
jo anjām bhī hotā hai ho
ham āḳhir kyoñ himmat hāreñ
ho nākāmī pai-dar-pai ho
lākhoñ haiñ ham sab bechāre
ai shahzādo tum sab kai ho
maiñ duniyā par tanz karūñgā
duniyā kyoñ mere darpai ho
ham us ke pāband nahīñ haiñ
saaqī ho miinā ho mai ho
'shād' mujhe ye dhun rahtī hai
apnā naġhma apnī lai ho
la ai saqi teri jai ho
koi bhi pine ki shai ho
gulshan mein sayyaad ke hathon
jo anjam bhi hota hai ho
hum aaKHir kyon himmat haaren
ho nakaami pai-dar-pai ho
lakhon hain hum sab bechaare
ai shahzado tum sab kai ho
main duniya par tanz karunga
duniya kyon mere darpai ho
hum us ke paband nahin hain
saqi ho mina ho mai ho
'shad' mujhe ye dhun rahti hai
apna naghma apni lai ho
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 257)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.