la-makan nam hai ujDe hue virane ka
la-makan nam hai ujDe hue virane ka
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq
MORE BYPandit Jagmohan Nath Raina Shauq
lā-makāñ naam hai ujḌe hue vīrāne kā
hū ke aalam meñ hai maskan tire dīvāne kā
shauq-e-rusvā koī dekhe tire dīvāne kā
ḳhud vo āġhāz banā hai kisī afsāne kā
jām-e-dil bāda-e-ulfat se bharā rahtā hai
vaah kyā zarf hai TuuTe hue paimāne kā
dāstāñ ishq kī hai puurī sunā.eñge kalīm
qissa tuur to ik baab hai afsāne kā
sham.a ne bazm meñ jal jal ke jalāyā āḳhir
aah kyā hashr huā ishq meñ parvāne kā
mustatar qulqul-e-mīnā meñ hai rāz-e-mastī
bhed kis tarah khule phir tire mastāne kā
hashr meñ dekh ke majma.a lab-e-kausar saaqī
phir gayā āñkhoñ meñ naqsha tire maiḳhāne kā
milte hī sāġhar-o-shīsha se chhalak jaatā hai
ye bhī kyā daur hai saaqī tire paimāne kā
kyā qayāmat hai ki mahshar meñ bhī pursish na huī
hashr ab dekhiye kyā ho tire dīvāne kā
saf.ha dil mirā ā.īna-e-ramz-e-tauhīd
rāz-e-kaunain ḳhulāsa mire afsāne kā
'shauq' ab kis liye fikr-e-mai-o-mai-ḳhāna hai
bharne vaalā to koī aur hai paimāne kā
la-makan nam hai ujDe hue virane ka
hu ke aalam mein hai maskan tere diwane ka
shauq-e-ruswa koi dekhe tere diwane ka
KHud wo aaghaz bana hai kisi afsane ka
jam-e-dil baada-e-ulfat se bhara rahta hai
wah kya zarf hai TuTe hue paimane ka
dastan ishq ki hai puri sunaenge kalim
qissa tur to ek bab hai afsane ka
shama ne bazm mein jal jal ke jalaya aaKHir
aah kya hashr hua ishq mein parwane ka
mustatar qulqul-e-mina mein hai raaz-e-masti
bhed kis tarah khule phir tere mastane ka
hashr mein dekh ke majma lab-e-kausar saqi
phir gaya aankhon mein naqsha tere maiKHane ka
milte hi saghar-o-shisha se chhalak jata hai
ye bhi kya daur hai saqi tere paimane ka
kya qayamat hai ki mahshar mein bhi pursish na hui
hashr ab dekhiye kya ho tere diwane ka
safha dil mera aaina-e-ramz-e-tauhid
raaz-e-kaunain KHulasa mere afsane ka
'shauq' ab kis liye fikr-e-mai-o-mai-KHana hai
bharne wala to koi aur hai paimane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.