lā-makānī se ḳhauf aatā hai
ab kahānī se ḳhauf aatā hai
us ko dariyāoñ se mohabbat hai
mujh ko paanī se ḳhauf aatā hai
shaam ko ghar se maiñ nikaltā huuñ
phir javānī se ḳhauf aatā hai
maut se bāt-chīt hotī hai
zindagānī se ḳhauf aatā hai
la-makani se KHauf aata hai
ab kahani se KHauf aata hai
us ko dariyaon se mohabbat hai
mujh ko pani se KHauf aata hai
sham ko ghar se main nikalta hun
phir jawani se KHauf aata hai
maut se baat-chit hoti hai
zindagani se KHauf aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.