laeq wafa ke KHalq o saza-e-jafa hun main
laa.eq vafā ke ḳhalq o sazā-e-jafā huuñ maiñ
jitne haiñ yaañ so nek haiñ jo kuchh burā huuñ maiñ
jā hai ki hoñ ye log tire paas us jagah
kab qābil-e-ināyat-o-mehr-o-vafā huuñ maiñ
mujh ko butāñ kī diid se mat man.a kar ki shaiḳh
kyā jaane is libās meñ kyā dekhtā huuñ maiñ
aage mire na ġhair se go tum ne baat kī
sarkār kī nazar ko to pahchāntā huuñ maiñ
begāna jin se mil ke tū pyāre huā hai yaañ
un sab meñ ik baḌā to tirā āshnā huuñ maiñ
pūchho ho mujh se tum ki piyegā bhī tū sharāb
aisā kahāñ kā shaiḳh huuñ yā pārsā huuñ maiñ
jaur-e-sipahr o dūrī-e-yārāñ o rū-e-ġhair
jo kuchh na dekhnā thā so ab dekhtā huuñ maiñ
ā.īna o ġhubār meñ juuñ yak-digar hai rabt
jo pur-kadar haiñ un se ziyāda safā huuñ maiñ
'qā.em' hayāt-o-marg-e-buz-o-gāv meñ haiñ naf.a
is mardumī ke shor pe kis kaam kā huuñ maiñ
laeq wafa ke KHalq o saza-e-jafa hun main
jitne hain yan so nek hain jo kuchh bura hun main
ja hai ki hon ye log tere pas us jagah
kab qabil-e-inayat-o-mehr-o-wafa hun main
mujh ko butan ki did se mat mana kar ki shaiKH
kya jaane is libas mein kya dekhta hun main
aage mere na ghair se go tum ne baat ki
sarkar ki nazar ko to pahchanta hun main
begana jin se mil ke tu pyare hua hai yan
un sab mein ek baDa to tera aashna hun main
puchho ho mujh se tum ki piyega bhi tu sharab
aisa kahan ka shaiKH hun ya parsa hun main
jaur-e-sipahr o duri-e-yaran o ru-e-ghair
jo kuchh na dekhna tha so ab dekhta hun main
aaina o ghubar mein jun yak-digar hai rabt
jo pur-kadar hain un se ziyaada safa hun main
'qaem' hayat-o-marg-e-buz-o-gaw mein hain nafa
is mardumi ke shor pe kis kaam ka hun main
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.