lai thi KHalwat se dil ki na-shakebai mujhe
laa.ī thī ḳhalvat se dil kī nā-shakebā.ī mujhe
bazm meñ bhī hai vahī ehsās-e-tanhā.ī mujhe
lazzat-e-zaḳhm-e-tamanna se huuñ sargarm-e-safar
varna kab manzūr thī ye jāda-paimā.ī mujhe
manzar-e-barbādī-e-dil par to nam-dīda thā maiñ
log dikhlāte rahe chehroñ kī zebā.ī mujhe
sun rahā huuñ der se apnī sadā-e-bāzgasht
aarzū kā shahr hai sahrā-e-tanhā.ī mujhe
zindagī ke dasht-o-dar meñ aarzū kī raah se
le ga.ī dār-o-rasan tak ābla-pā.ī mujhe
lai thi KHalwat se dil ki na-shakebai mujhe
bazm mein bhi hai wahi ehsas-e-tanhai mujhe
lazzat-e-zaKHm-e-tamanna se hun sargarm-e-safar
warna kab manzur thi ye jada-paimai mujhe
manzar-e-barbaadi-e-dil par to nam-dida tha main
log dikhlate rahe chehron ki zebai mujhe
sun raha hun der se apni sada-e-bazgasht
aarzu ka shahr hai sahra-e-tanhai mujhe
zindagi ke dasht-o-dar mein aarzu ki rah se
le gai dar-o-rasan tak aabla-pai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.