lakh aashiq hua kare koi
laakh āshiq huā kare koī
ishq kā haq adā kare koī
ishq kī intihā kare koī
jaan un par fidā kare koī
jin ke dil meñ basā ho tū hī tū
tujh se phir kyā duā kare koī
karne vaalī to zaat usī kī hai
kyā kisī kā bhalā kare koī
be-ruḳhī se mile to milnā kyā
umr bhar tak milā kare koī
ishq se dil to us kā ḳhālī hai
laakh zikr-e-ḳhudā kare koī
jo bashar dushman-e-mohabbat ho
muñh na us se lagā kare koī
bevafā vo haiñ yā ki maiñ 'āsī'
aaj ye faisla kare koī
lakh aashiq hua kare koi
ishq ka haq ada kare koi
ishq ki intiha kare koi
jaan un par fida kare koi
jin ke dil mein basa ho tu hi tu
tujh se phir kya dua kare koi
karne wali to zat usi ki hai
kya kisi ka bhala kare koi
be-ruKHi se mile to milna kya
umr bhar tak mila kare koi
ishq se dil to us ka KHali hai
lakh zikr-e-KHuda kare koi
jo bashar dushman-e-mohabbat ho
munh na us se laga kare koi
bewafa wo hain ya ki main 'asi'
aaj ye faisla kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.