lakh chaha ruk na paya KHwahishon ka silsila
laakh chāhā ruk na paayā ḳhvāhishoñ kā silsila
nā-tavāñ dil ne uThāyā āñsuoñ kā silsila
kaise ḳhvāhish maiñ karūñ parvāz kī tū hī batā
dil meñ ghuT kar rah gayā jab hasratoñ kā silsila
ghar se ghar ko yuuñ milānā kaam to āsāñ na thā
apne hāthoñ se baḌhāyā nafratoñ kā silsila
tujh ko DhūñDā is tarah jaise ḳhudā hai tū mirā
raah meñ kis ne banāyā maqbaroñ kā silsila
ruuh kī gahrā.iyoñ meñ tū utar kar aa gayā
zehn kī sīḌhī se aaya qurbatoñ kā silsila
tujh ko pā lenā hī merī manzil-e-maqsūd hai
jā-ba-jā kis ne bichhāyā pattharoñ kā silsila
zindagī ke dasht meñ aaya na jab aks-e-bahār
maiñ ne ḳhud ko ḳhud dikhāyā vahshatoñ kā silsila
lakh chaha ruk na paya KHwahishon ka silsila
na-tawan dil ne uThaya aansuon ka silsila
kaise KHwahish main karun parwaz ki tu hi bata
dil mein ghuT kar rah gaya jab hasraton ka silsila
ghar se ghar ko yun milana kaam to aasan na tha
apne hathon se baDhaya nafraton ka silsila
tujh ko DhunDa is tarah jaise KHuda hai tu mera
rah mein kis ne banaya maqbaron ka silsila
ruh ki gahraiyon mein tu utar kar aa gaya
zehn ki siDhi se aaya qurbaton ka silsila
tujh ko pa lena hi meri manzil-e-maqsud hai
ja-ba-ja kis ne bichhaya pattharon ka silsila
zindagi ke dasht mein aaya na jab aks-e-bahaar
main ne KHud ko KHud dikhaya wahshaton ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.