lakh dil par jafa kare koi
laakh dil par jafā kare koī
sāmne to rahā kare koī
lazzat-e-ġham meñ kho gayā huuñ maiñ
ab na aa.e ḳhudā kare koī
dekhe phir rang ahl-e-duniyā ke
pyaar kī ibtidā kare koī
maut kī ḳhud hameñ tamanna hai
zindagī kī duā kare koī
is qadar zulm sach ye hai 'shā.ir'
mar na jaa.e to kyā kare koī
lakh dil par jafa kare koi
samne to raha kare koi
lazzat-e-gham mein kho gaya hun main
ab na aae KHuda kare koi
dekhe phir rang ahl-e-duniya ke
pyar ki ibtida kare koi
maut ki KHud hamein tamanna hai
zindagi ki dua kare koi
is qadar zulm sach ye hai 'shair'
mar na jae to kya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.