lakh diya KHushiyon ne pahra
laakh diyā ḳhushiyoñ ne pahrā
dukhoñ kā sailāb na Thahrā
us kī tah ko kaise pā.ūñ
jitnā utrūñ utnā gahrā
DhūñD rahā hai darpan ab bhī
terā chehra merā chehra
bin paanī kā bādal dekho
sūkhī dhartī par jā Thahrā
maiñ jab tujh ko haath dikhā.ūñ
āñchal apnā tū bhī lahrā
'soz' kise pahchāneñ āḳhir
jis ko dekho vo be-chehra
lakh diya KHushiyon ne pahra
dukhon ka sailab na Thahra
us ki tah ko kaise paun
jitna utrun utna gahra
DhunD raha hai darpan ab bhi
tera chehra mera chehra
bin pani ka baadal dekho
sukhi dharti par ja Thahra
main jab tujh ko hath dikhaun
aanchal apna tu bhi lahra
'soz' kise pahchanen aaKHir
jis ko dekho wo be-chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.