lakh harbe sahi har waz ke shaitan ke pas
lakh harbe sahi har waz ke shaitan ke pas
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
laakh harbe sahī har vaz' ke shaitān ke paas
Dhaal īmān kī maujūd ho insān ke paas
mulk samjho use pāmāl bajā hai ik diin
ab to bas ik yahī daulat hai musalmān ke paas
lagte hī tiir tumhārā ga.ī yuuñ jaan nikal
baiTh kar jaatī ghaḌī do ghaḌī mehmān ke paas
ādmiyyat hī to buniyād hai har ḳhūbī kī
ho na ye bhī to dharā kyā hai phir insān ke paas
sohbat yaar hai ai dil tujhe ghar baiThe nasīb
phir tirā kaam hai kyā hājib-e-darbān ke paas
ḳhvāhisheñ nafs kī karte to ho puurī lekin
is se behtar nahīñ aalā koī shaitān ke paas
ham ne dil bhar ke kuchh is tarah nikāle armāñ
ki phaTaktā nahīñ dil jā ke ab armān ke paas
mat samajhnā inheñ kam-māya ġhanī haiñ ye log
kanz-e-maḳhfī hai har ik sāhib-e-īmān ke paas
jubba-sā.ī kī bhī kuchh hogī tumhīñ ko ummīd
gāliyāñ khāte ho jā jā ke darbān ke paas
lakh harbe sahi har waz' ke shaitan ke pas
Dhaal iman ki maujud ho insan ke pas
mulk samjho use pamal baja hai ek din
ab to bas ek yahi daulat hai musalman ke pas
lagte hi tir tumhaara gai yun jaan nikal
baiTh kar jati ghaDi do ghaDi mehman ke pas
aadmiyyat hi to buniyaad hai har KHubi ki
ho na ye bhi to dhara kya hai phir insan ke pas
sohbat yar hai ai dil tujhe ghar baiThe nasib
phir tera kaam hai kya hajib-e-darban ke pas
KHwahishen nafs ki karte to ho puri lekin
is se behtar nahin aala koi shaitan ke pas
hum ne dil bhar ke kuchh is tarah nikale arman
ki phaTakta nahin dil ja ke ab arman ke pas
mat samajhna inhen kam-maya ghani hain ye log
kanz-e-maKHfi hai har ek sahib-e-iman ke pas
jubba-sai ki bhi kuchh hogi tumhin ko ummid
galiyan khate ho ja ja ke darban ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.