lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah
laakh jalve haiñ nigāhoñ meñ nazāroñ kī tarah
dil ke gulshan meñ vo aa.e haiñ bahāroñ kī tarah
har ghaḌī ek nayā rañg nayā aalam hai
zindagī hai tirī āñkhoñ ke ishāroñ kī tarah
zindagī phir kisī tūfān se uljhegī zarūr
hoñT ḳhāmosh haiñ dariyā ke kināroñ kī tarah
kitnī pur-nūr huī jaatī hai ab manzil-e-shauq
naqsh-e-pā un ke chamakte haiñ sitāroñ kī tarah
sho.ala-e-ishq kā bujhnā nahīñ āsāñ 'mohan'
ashk āñkhoñ se Dhalakte haiñ sharāroñ kī tarah
lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah
dil ke gulshan mein wo aae hain bahaaron ki tarah
har ghaDi ek naya rang naya aalam hai
zindagi hai teri aankhon ke ishaaron ki tarah
zindagi phir kisi tufan se uljhegi zarur
honT KHamosh hain dariya ke kinaron ki tarah
kitni pur-nur hui jati hai ab manzil-e-shauq
naqsh-e-pa un ke chamakte hain sitaron ki tarah
shoala-e-ishq ka bujhna nahin aasan 'mohan'
ashk aankhon se Dhalakte hain shararon ki tarah
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 235)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.