lakh KHushiyon ka iqtibas mila
laakh ḳhushiyoñ kā iqtibās milā
phir bhī dil ġham ke ās-pās milā
dostoñ meñ ḳhushī talāsh na kar
jo bhī mujh ko milā udaas milā
sach kī gardan pe jhuuT hai ab tak
haq se har ik hī nā-shanās milā
gard-ālūd aa.ina haiñ sabhī
gard kā jism ko libās milā
dard-e-ulfat kā aa.ina maiñ huuñ
yuuñ gale mujh se ġham-shanās milā
hai samundar kī pyaas dil meñ 'shubham'
phir bhī ḳhālī hameñ gilās milā
lakh KHushiyon ka iqtibas mila
phir bhi dil gham ke aas-pas mila
doston mein KHushi talash na kar
jo bhi mujh ko mila udas mila
sach ki gardan pe jhuT hai ab tak
haq se har ek hi na-shanas mila
gard-alud aaina hain sabhi
gard ka jism ko libas mila
dard-e-ulfat ka aaina main hun
yun gale mujh se gham-shanas mila
hai samundar ki pyas dil mein 'shubham'
phir bhi KHali hamein gilas mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.