lakh KHushki khet mein khaliyan mein maujud hai
laakh ḳhushkī khet meñ khaliyān meñ maujūd hai
aas bārish kī dil-e-dahqān meñ maujūd hai
baat sab ke fā.ede kī hai ye kaise maan leñ
jab ki dhamkī aap ke elaan meñ maujūd hai
manzil-e-maqsūd maiñ us kī badaulat pā.ūñgā
ik adad jo hausla sāmān meñ maujūd hai
zikr merī har ġhazal meñ chāhe us kā ho na ho
haañ magar ik do jagah dīvān meñ maujūd hai
fat.h kā elaan mat karnā ai zālim tab talak
jab talak ik jañg-jū maidān meñ maujūd hai
jis kī ḳhātir daar par duniyā chaḌhātī hai hameñ
vo bhī is jashn-e-azīmushshān meñ maujūd hai
aap kī āñkhoñ se 'anjum' ho rahā hai vo ayaañ
jo takabbur aap ke ehsān meñ maujūd hai
lakh KHushki khet mein khaliyan mein maujud hai
aas barish ki dil-e-dahqan mein maujud hai
baat sab ke faede ki hai ye kaise man len
jab ki dhamki aap ke elan mein maujud hai
manzil-e-maqsud main us ki badaulat paunga
ek adad jo hausla saman mein maujud hai
zikr meri har ghazal mein chahe us ka ho na ho
han magar ek do jagah diwan mein maujud hai
fath ka elan mat karna ai zalim tab talak
jab talak ek jang-ju maidan mein maujud hai
jis ki KHatir dar par duniya chaDhati hai hamein
wo bhi is jashn-e-azimushshan mein maujud hai
aap ki aankhon se 'anjum' ho raha hai wo ayan
jo takabbur aap ke ehsan mein maujud hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.