lakh koshish se udasi na chhupa pata hun
laakh koshish se udāsī na chhupā paatā huuñ
apne lahje se maiñ pahchān liyā jaatā huuñ
le to aatī hai dikhā.ī nahīñ detā koī
bāñsurī sun ke ta.āqub meñ nikal aatā huuñ
yuuñ to kar letā huuñ maiñ us se hazāroñ bāteñ
hai koī baat jise karne se ghabrātā huuñ
maiñ kahīñ duur nikal jā.ūñ agar saath apne
us se milne ke liye ḳhud ko bulā laatā huuñ
is aziyyat se mirī jaan ko ḳhatra hai magar
ab mohabbat meñ koī tajraba dohrātā huuñ
lafz jitne bhī haiñ achchhe use mansūb karūñ
phuul har rang kā gajre meñ sajā laatā huuñ
vo kisī aur pe hotā hai ḳhafā to 'shāhid'
maiñ kisī baat ke ḳhadshe se laraz jaatā huuñ
lakh koshish se udasi na chhupa pata hun
apne lahje se main pahchan liya jata hun
le to aati hai dikhai nahin deta koi
bansuri sun ke taaqub mein nikal aata hun
yun to kar leta hun main us se hazaron baaten
hai koi baat jise karne se ghabraata hun
main kahin dur nikal jaun agar sath apne
us se milne ke liye KHud ko bula lata hun
is aziyyat se meri jaan ko KHatra hai magar
ab mohabbat mein koi tajraba dohraata hun
lafz jitne bhi hain achchhe use mansub karun
phul har rang ka gajre mein saja lata hun
wo kisi aur pe hota hai KHafa to 'shahid'
main kisi baat ke KHadshe se laraz jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.