lakh koshish to ki magar na hui
laakh koshish to kī magar na huī
zindagī chain se basar na huī
kis qadar e.atibār ham ne kiyā
zindagī phir bhī mo'atabar na huī
us ne manzil kabhī nahīñ paa.ī
justujū jis kī ham-safar na huī
us ne dekhā jo tirchhī nazroñ se
jal uThe zaḳhm use ḳhabar na huī
'dard' tere gunāh dhul jaate
kyoñ nadāmat se aañkh tar na huī
lakh koshish to ki magar na hui
zindagi chain se basar na hui
kis qadar eatibar hum ne kiya
zindagi phir bhi mo'atabar na hui
us ne manzil kabhi nahin pai
justuju jis ki ham-safar na hui
us ne dekha jo tirchhi nazron se
jal uThe zaKHm use KHabar na hui
'dard' tere gunah dhul jate
kyon nadamat se aankh tar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.