lakh kuchh na hum kahte be-zaban rahe hote
laakh kuchh na ham kahte be-zabāñ rahe hote
aap to ba-har-sūrat bad-gumāñ rahe hote
vo to rañg le aa.ī apne ḳhuun kī garmī
varna saare qisse meñ ham kahāñ rahe hote
raat ke bhañvar meñ haiñ ham charāġh kī sūrat
saath saath hote to kahkashāñ rahe hote
aaj ik haqīqat haiñ sar-faroshiyāñ apnī
varna ham tabāhī kī dāstāñ rahe hote
dhuup hai masā.il kī aur ik 'bashar' tanhā
kaash sar pe rishtoñ ke sā.ebāñ rahe hote
lakh kuchh na hum kahte be-zaban rahe hote
aap to ba-har-surat bad-guman rahe hote
wo to rang le aai apne KHun ki garmi
warna sare qisse mein hum kahan rahe hote
raat ke bhanwar mein hain hum charagh ki surat
sath sath hote to kahkashan rahe hote
aaj ek haqiqat hain sar-faroshiyan apni
warna hum tabahi ki dastan rahe hote
dhup hai masail ki aur ek 'bashar' tanha
kash sar pe rishton ke saeban rahe hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.