lakh maujud hon sabhi jaanan
laakh maujūd hoñ sabhī jānāñ
hai tumhārī magar kamī jānāñ
ham tumhāre binā jiyeñ kaise
maut hai aisī zindagī jānāñ
be-qarārī udāsiyāñ vahshat
merī qismat hai kyā yahī jānāñ
hijr kā pūchhte ho kyā 'ālam
ek lamha hai ik sadī jānāñ
tum hī alfāz ho tumhīñ ehsās
tum hī ho rūh-e-shā’erī jānāñ
sirf tum hī to ‘ishq-e-avval ho
aur ho tum hī āḳhirī jānāñ
gar haqīqat meñ mil nahīñ sakte
aao ḳhvāboñ meñ to kabhī jānāñ
rū-barū tum nahīñ rahe lekin
sirf tasvīr rah ga.ī jānāñ
tum ko paa.eñ to zindagī 'mohkam'
varna kar leñge ḳhud-kushī jānāñ
lakh maujud hon sabhi jaanan
hai tumhaari magar kami jaanan
hum tumhaare bina jiyen kaise
maut hai aisi zindagi jaanan
be-qarari udasiyan wahshat
meri qismat hai kya yahi jaanan
hijr ka puchhte ho kya 'alam
ek lamha hai ek sadi jaanan
tum hi alfaz ho tumhin ehsas
tum hi ho ruh-e-sha’eri jaanan
sirf tum hi to ‘ishq-e-awwal ho
aur ho tum hi aaKHiri jaanan
gar haqiqat mein mil nahin sakte
aao KHwabon mein to kabhi jaanan
ru-baru tum nahin rahe lekin
sirf taswir rah gai jaanan
tum ko paen to zindagi 'mohkam'
warna kar lenge KHud-kushi jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.