lakh parde se ruKH-e-anwar ayan ho jaega
laakh parde se ruḳh-e-anvar ayaañ ho jā.egā
parda khul jā.egā har parda katāñ ho jā.egā
jauhar-e-teġh-e-isālat sab ayaañ ho jā.egā
imtihāñ ke vaqt apnā imtihāñ ho jā.egā
tū agar ai maah aa niklā kisī din bād-e-marg
parda-e-ḳhāk-e-mazār apnā katāñ ho jā.egā
pech zulfoñ ke jo khul jā.eñge rū-e-yār par
sumbul-e-tar ātish-e-gul kā dhuāñ ho jā.egā
tū vo gul-rū hai ki tujh ko dekh kar niklegī jaan
bulbul-e-rūh o ravāñ be-āshiyāñ ho jā.egā
rū-e-rañgīñ kī hikāyat nazm agar karne lageñ
'barq' sab dīvāñ hamārā bostāñ ho jā.egā
lakh parde se ruKH-e-anwar ayan ho jaega
parda khul jaega har parda katan ho jaega
jauhar-e-tegh-e-isalat sab ayan ho jaega
imtihan ke waqt apna imtihan ho jaega
tu agar ai mah aa nikla kisi din baad-e-marg
parda-e-KHak-e-mazar apna katan ho jaega
pech zulfon ke jo khul jaenge ru-e-yar par
sumbul-e-tar aatish-e-gul ka dhuan ho jaega
tu wo gul-ru hai ki tujh ko dekh kar niklegi jaan
bulbul-e-ruh o rawan be-ashiyan ho jaega
ru-e-rangin ki hikayat nazm agar karne lagen
'barq' sab diwan hamara bostan ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.