lakh teri hi tarah kyon na paraya hota
laakh terī hī tarah kyoñ na parāyā hotā
tujh sā koī to mire dhyān meñ aayā hotā
vaqt ke saath to chaltā hai zamāna saarā
vaqt ke saath mirī tarah nibhāyā hotā
maiñ tire shahr meñ tanhā huuñ na jaane kab se
tū na hotā tirī dīvār kā saayā hotā
khilkhilāte hue lamhoñ se lipaTne vaalo
rūThne vaalī rutoñ ko bhī manāyā hotā
yuuñ to har ek shabistāñ hai munavvar tujh se
kabhī merā bhī koī ḳhvāb sajāyā hotā
le gayā saath uḌā kar merī nīndeñ 'parvāz'
dhyān meñ kaash na vo shaḳhs samāyā hotā
lakh teri hi tarah kyon na paraya hota
tujh sa koi to mere dhyan mein aaya hota
waqt ke sath to chalta hai zamana sara
waqt ke sath meri tarah nibhaya hota
main tere shahr mein tanha hun na jaane kab se
tu na hota teri diwar ka saya hota
khilkhilate hue lamhon se lipaTne walo
ruThne wali ruton ko bhi manaya hota
yun to har ek shabistan hai munawwar tujh se
kabhi mera bhi koi KHwab sajaya hota
le gaya sath uDa kar meri ninden 'parwaz'
dhyan mein kash na wo shaKHs samaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.