lakhon dukh hain jaan akeli
lākhoñ dukh haiñ jaan akelī
jīvan kyā hai ek pahelī
man kī ik ik aashā jaise
dul.han kī koī na.ī navelī
ras bhartā hai jab nainoñ meñ
rut hotī hai kyā albelī
pal kā hañsnā umr kā ronā
priit kī riit na pūchh sahelī
bhar liyā dāman rusvā.ī se
apne sar par tohmat le lī
hañs hañs kar dukh ke din kaaTe
hañs hañs kar har aafat jhelī
man-basiyā rasiyā nahīñ aaya
man kī suunī rahī havelī
phūloñ ne jab phaag banāyā
ham ne ḳhuun se holī khelī
bintī sun le bhagvan merī
hai tū hī sab jag kā belī
pī sukh ke jhūle meñ jhūle
shāḳh pe jaise phuul chañbelī
lakhon dukh hain jaan akeli
jiwan kya hai ek paheli
man ki ek ek aasha jaise
dulhan ki koi nai naweli
ras bharta hai jab nainon mein
rut hoti hai kya albeli
pal ka hansna umr ka rona
prit ki rit na puchh saheli
bhar liya daman ruswai se
apne sar par tohmat le li
hans hans kar dukh ke din kaTe
hans hans kar har aafat jheli
man-basiya rasiya nahin aaya
man ki suni rahi haweli
phulon ne jab phag banaya
hum ne KHun se holi kheli
binti sun le bhagwan meri
hai tu hi sab jag ka beli
pi sukh ke jhule mein jhule
shaKH pe jaise phul chanbeli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.