lakhon hain dil-ruba koi dildar bhi to ho
lākhoñ haiñ dil-rubā koī dildār bhī to ho
ġham de chuke bahut koī ġham-ḳhvār bhī to ho
fariyād maiñ to maiñ mire zaḳhm-e-jigar kareñ
us bazm meñ ijāzat-e-guftār bhī to ho
qasmeñ na baar baar dilā.eñ to kyā kareñ
iqrār sā koī tirā iqrār bhī to ho
afsos hai ki saath tumhāre na maiñ rahūñ
maujūd gul jahāñ hai vahāñ ḳhaar bhī to ho
'mahrūm' lā-javāb hai ye misra-e-'amīr'
iisā haiñ saiñkaḌoñ koī bīmār bhī to ho
lakhon hain dil-ruba koi dildar bhi to ho
gham de chuke bahut koi gham-KHwar bhi to ho
fariyaad main to main mere zaKHm-e-jigar karen
us bazm mein ijazat-e-guftar bhi to ho
qasmen na bar bar dilaen to kya karen
iqrar sa koi tera iqrar bhi to ho
afsos hai ki sath tumhaare na main rahun
maujud gul jahan hai wahan KHar bhi to ho
'mahrum' la-jawab hai ye misra-e-'amir'
isa hain sainkaDon koi bimar bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.