lakhon hasin mile hain tarahdar ki tarah
lākhoñ hasīñ mile haiñ tarahdār kī tarah
lekin milā na koī mire yaar kī tarah
qātil hai kaun abrū-e-ḳhamdār kī tarah
chubhne meñ tiir kaaT meñ talvār kī tarah
hai dā.era hayāt kā zanjīr kī misāl
gardish meñ log rahte haiñ parkār kī tarah
manzil kī samt kyoñ na uThe shauq kā qadam
hamrāh dil hai qāfila-sālār kī tarah
majmūa-e-tazād huī un kī guftugū
iqrār bhī vo karte haiñ inkār kī tarah
ham vahshiyoñ kā haal jo vo dekhne chale
sahrā bhī ho gayā hai chaman-zār kī tarah
dasht-e-junūñ meñ ābla-pā ko sukūñ kahāñ
farsh-e-zamīñ hai bistar-e-sūfār kī tarah
va.ada jo kar rahe haiñ to puurā bhī kījiye
dhokā na dījiye mujhe har baar kī tarah
vo paikar-e-jamāl sarāpā nazāra thā
apnī ḳhudī hijāb thī dīvār kī tarah
lakhon hasin mile hain tarahdar ki tarah
lekin mila na koi mere yar ki tarah
qatil hai kaun abru-e-KHamdar ki tarah
chubhne mein tir kaT mein talwar ki tarah
hai daera hayat ka zanjir ki misal
gardish mein log rahte hain parkar ki tarah
manzil ki samt kyon na uThe shauq ka qadam
hamrah dil hai qafila-salar ki tarah
majmua-e-tazad hui un ki guftugu
iqrar bhi wo karte hain inkar ki tarah
hum wahshiyon ka haal jo wo dekhne chale
sahra bhi ho gaya hai chaman-zar ki tarah
dasht-e-junun mein aabla-pa ko sukun kahan
farsh-e-zamin hai bistar-e-sufar ki tarah
wada jo kar rahe hain to pura bhi kijiye
dhoka na dijiye mujhe har bar ki tarah
wo paikar-e-jamal sarapa nazara tha
apni KHudi hijab thi diwar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.