lakhon ki bhiD mein bhi koi ham-nafas na ho
lākhoñ kī bhiiḌ meñ bhī koī ham-nafas na ho
allāh terī ḳhalq kā matlab qafas na ho
rañg-e-jamāl-e-ishq se kūñachī bharī ho par
tasvīr khīñchne ke liye canvas na ho
kahiye ki kaise dil lage aisī jagah jahāñ
bāteñ to be-hisāb hoñ bātoñ meñ ras na ho
maiñ ishq kar rahā huuñ magar sochtā bhī huuñ
pichhle baras jo ho chukā ab ke baras na ho
hairat hai ek umr kī bārish ke bāvajūd
āñkhoñ meñ koī shakl hai jo Tas se mas na ho
'mishrā' jī aise shaḳhs se rahte haiñ dūr-dūr
jis meñ ki rañg-e-ishq ho rañg-e-havas na ho
lakhon ki bhiD mein bhi koi ham-nafas na ho
allah teri KHalq ka matlab qafas na ho
rang-e-jamal-e-ishq se kunachi bhari ho par
taswir khinchne ke liye canwas na ho
kahiye ki kaise dil lage aisi jagah jahan
baaten to be-hisab hon baaton mein ras na ho
main ishq kar raha hun magar sochta bhi hun
pichhle baras jo ho chuka ab ke baras na ho
hairat hai ek umr ki barish ke bawajud
aankhon mein koi shakl hai jo Tas se mas na ho
'mishra' ji aise shaKHs se rahte hain dur-dur
jis mein ki rang-e-ishq ho rang-e-hawas na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.