lakhon le kar sawal baiTha hun
lākhoñ le kar savāl baiThā huuñ
shauq kaisā ye paal baiThā huuñ
kaise niklūñ samajh nahīñ aatā
ḳhud hī bun kar ye jaal baiThā huuñ
log pāgal mujhe samajhte haiñ
ḳhud pe patthar uchhāl baiThā huuñ
mujh ko māregā merā pāgalpan
us ke hāthoñ niDhāl baiThā huuñ
jab bhī aanā hai maut aa jaa.e
ḳhaak ḳhud par maiñ Daal baiThā huuñ
lakhon le kar sawal baiTha hun
shauq kaisa ye pal baiTha hun
kaise niklun samajh nahin aata
KHud hi bun kar ye jal baiTha hun
log pagal mujhe samajhte hain
KHud pe patthar uchhaal baiTha hun
mujh ko marega mera pagalpan
us ke hathon niDhaal baiTha hun
jab bhi aana hai maut aa jae
KHak KHud par main Dal baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.