lakhon widya-wan mile
lākhoñ vidyā-vān mile
sab tujh se anjān mile
jis ko pī se milnā ho
man-mandir meñ aan mile
sājan naināñ pyāse haiñ
darshan-jal kā daan mile
chhoToñ kī sangat meñ baiTh
phir tujh ko bhagvān mile
vo gyānī hī gyānī hai
jis ko man kā giyān mile
jagat-pitā kī puujā kar
duniyā meñ sammān mile
vo man-mūrakh hai jis meñ
krodh kapaT abhīmān mile
insānoñ ke jangal meñ
kaash koī insān mile
man kī āñkheñ khol 'tufail'
tab pī kā asthān mile
lakhon widya-wan mile
sab tujh se anjaan mile
jis ko pi se milna ho
man-mandir mein aan mile
sajan nainan pyase hain
darshan-jal ka dan mile
chhoTon ki sangat mein baiTh
phir tujh ko bhagwan mile
wo gyani hi gyani hai
jis ko man ka giyan mile
jagat-pita ki puja kar
duniya mein samman mile
wo man-murakh hai jis mein
krodh kapaT abhiman mile
insanon ke jangal mein
kash koi insan mile
man ki aankhen khol 'tufail'
tab pi ka asthan mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.