lal kamre ka aaj saman surKH
laal kamre kā aaj sāmāñ surḳh
dekh kar ho gayā vo nādāñ surḳh
laala pahne hue the surḳh qabā
thā jo shabbo tumhārā dāmāñ surḳh
laal kurtī meñ aks begam kā
ho gayā dekhte hī kaptāñ surḳh
baajī lab-hā-e-lāla-gūñ se tire
ho ga.e balḳh aur badaḳhshāñ surḳh
saaya mirzā kā paḌ gayā jo kahīñ
ho ga.iiñ dekhte hī ammāñ surḳh
aaj sāvan ke surḳh chhīñToñ se
nazar aatī hai bād-e-bustāñ surḳh
surḳh dastār kī karāmat hai
ho ga.iiñ jo buā muġhal-jāñ surḳh
rang kāfir kā uḌ gayā baajī
rahā sab meñ mirā musalmāñ surḳh
kaho sāqan se surḳh mai laa.e
aaj joḌā hai zeb-e-jānāñ surḳh
surḳh saaya paḌā jo āñchal kā
huā 'mohsin' buā guhar-jāñ surḳh
lal kamre ka aaj saman surKH
dekh kar ho gaya wo nadan surKH
lala pahne hue the surKH qaba
tha jo shabbo tumhaara daman surKH
lal kurti mein aks begam ka
ho gaya dekhte hi kaptan surKH
baji lab-ha-e-lala-gun se tere
ho gae balKH aur badaKHshan surKH
saya mirza ka paD gaya jo kahin
ho gain dekhte hi amman surKH
aaj sawan ke surKH chhinTon se
nazar aati hai baad-e-bustan surKH
surKH dastar ki karamat hai
ho gain jo bua mughal-jaan surKH
rang kafir ka uD gaya baji
raha sab mein mera musalman surKH
kaho saqan se surKH mai lae
aaj joDa hai zeb-e-jaanan surKH
surKH saya paDa jo aanchal ka
hua 'mohsin' bua guhar-jaan surKH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.