lala-o-gul ka jahan ras kab aaya hai mujhe
lāla-o-gul kā jahāñ raas kab aayā hai mujhe
in nazāroñ ne bahut ḳhuun rulāyā hai mujhe
vaqt ne jab koī ā.īna dikhāyā hai mujhe
kyā bhayānak mirā chehra nazar aayā hai mujhe
talḳhī-e-marg rag-o-pai meñ utartī jaa.e
zindagī tū ne ye kyā zahr pilāyā hai mujhe
chalte chalte yūñhī thak kar kahīñ so jā.ūñgā
dasht-e-ġhurbat kī kaḌī dhuup hī saayā hai mujhe
zindagī ne mirī dam saadh liyā hai jaise
jab tirī yaad meñ khoyā huā paayā hai mujhe
ufuq-e-dil pe nazar aatī hai kho jaatī hai
ek parchhā.īñ ne dīvāna banāyā hai mujhe
ghar se niklā huuñ to ab pūchh rahā huuñ ḳhud se
jā rahā huuñ maiñ kahāñ kis ne bulāyā hai mujhe
koī hogā jo mirī raah takegā shāyad
ik yahī vahm yahāñ khīñch ke laayā hai mujhe
sirf ik ḳhvāb thā maiñ apne zamāne ke liye
jis ne paayā hai mujhe us ne gañvāyā hai mujhe
do sitāroñ kī mulāqāt kā vahshī naġhma
be-sadā raat ne phir aaj sunāyā hai mujhe
ḳhvāb us ke kabhī ho jaa.eñ na vīrāñ 'maḳhmūr'
us ne kyoñ apne ḳhayāloñ meñ basāyā hai mujhe
lala-o-gul ka jahan ras kab aaya hai mujhe
in nazaron ne bahut KHun rulaya hai mujhe
waqt ne jab koi aaina dikhaya hai mujhe
kya bhayanak mera chehra nazar aaya hai mujhe
talKHi-e-marg rag-o-pai mein utarti jae
zindagi tu ne ye kya zahr pilaya hai mujhe
chalte chalte yunhi thak kar kahin so jaunga
dasht-e-ghurbat ki kaDi dhup hi saya hai mujhe
zindagi ne meri dam sadh liya hai jaise
jab teri yaad mein khoya hua paya hai mujhe
ufuq-e-dil pe nazar aati hai kho jati hai
ek parchhain ne diwana banaya hai mujhe
ghar se nikla hun to ab puchh raha hun KHud se
ja raha hun main kahan kis ne bulaya hai mujhe
koi hoga jo meri rah takega shayad
ek yahi wahm yahan khinch ke laya hai mujhe
sirf ek KHwab tha main apne zamane ke liye
jis ne paya hai mujhe us ne ganwaya hai mujhe
do sitaron ki mulaqat ka wahshi naghma
be-sada raat ne phir aaj sunaya hai mujhe
KHwab us ke kabhi ho jaen na viran 'maKHmur'
us ne kyon apne KHayalon mein basaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.