lala-o-gul ka lahu lakh bahaya jae
lāla-o-gul kā lahū laakh bahāyā jaa.e
ye chaman chhoḌ ke ham se to na jaayā jaa.e
phir rahe haiñ sabhī chehroñ pe naqābeñ Daale
kis ko hālāt kā ā.īna dikhāyā jaa.e
rang par jashn-e-bahārāñ jabhī aa saktā hai
phuul kāñToñ meñ koī farq na paayā jaa.e
apnī tahzīb hī iḳhlās-o-ravādārī hai
is ko haTne se ba-har-hāl bachāyā jaa.e
sab barābar ke haiñ haqdār chaman-sāzī meñ
phir kise harf-e-ġhalat kah ke miTāyā jaa.e
ḳhud-baḳhud qaum kī taqdīr sañvar jā.egī
pahle bigḌā huā māhaul banāyā jaa.e
jī rahe haiñ sabhī ehsās kuchal kar apnā
ab kise dard kā ehsās dilāyā jaa.e
sirf ham uTh ga.e uupar to koī shaan nahīñ
shaan to ye hai ki girtoñ ko uThāyā jaa.e
ḳhuun bastā hai tamannāoñ kā āñkheñ kyā haiñ
kaun sā ḳhvāb nigāhoñ meñ basāyā jaa.e
ādmiyyat ke charāġhoñ kī laveñ tez karo
na ho aisā ki badan chhoḌ ke saaya jaa.e
manzileñ aisī bhī haiñ fikr-e-bashar se aage
jin kī had meñ na ishāra na kināya jaa.e
'shauq' dil naam to hai ek chaman zaḳhmoñ kā
silsila is kā magar kis se milāyā jaa.e
lala-o-gul ka lahu lakh bahaya jae
ye chaman chhoD ke hum se to na jaya jae
phir rahe hain sabhi chehron pe naqaben Dale
kis ko haalat ka aaina dikhaya jae
rang par jashn-e-bahaaran jabhi aa sakta hai
phul kanTon mein koi farq na paya jae
apni tahzib hi iKHlas-o-rawadari hai
is ko haTne se ba-har-haal bachaya jae
sab barabar ke hain haqdar chaman-sazi mein
phir kise harf-e-ghalat kah ke miTaya jae
KHud-baKHud qaum ki taqdir sanwar jaegi
pahle bigDa hua mahaul banaya jae
ji rahe hain sabhi ehsas kuchal kar apna
ab kise dard ka ehsas dilaya jae
sirf hum uTh gae upar to koi shan nahin
shan to ye hai ki girton ko uThaya jae
KHun basta hai tamannaon ka aankhen kya hain
kaun sa KHwab nigahon mein basaya jae
aadmiyyat ke charaghon ki lawen tez karo
na ho aisa ki badan chhoD ke saya jae
manzilen aisi bhi hain fikr-e-bashar se aage
jin ki had mein na ishaara na kinaya jae
'shauq' dil nam to hai ek chaman zaKHmon ka
silsila is ka magar kis se milaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.