lala-o-gul mein bikhar jaenge hum
lāla-o-gul meñ bikhar jā.eñge ham
kaun kahtā hai ki mar jā.eñge ham
din isī fikr meñ kaaTā ham ne
raat aa.ī to kidhar jā.eñge ham
aur ho jaa.e añdherā gahrā
zindagī aur nikhar jā.eñge ham
aur barham ho nizām-e-hastī
dil ye kahtā hai sañvar jā.eñge ham
muntazir hai koī kāñToñ se pare
paañv kaT jaa.eñ magar jā.eñge ham
dekh leñ ham ko zamāne vaale
sañg-o-āhan meñ utar jā.eñge ham
jagmagāte hue aivānoñ se
aa.ina le ke guzar jā.eñge ham
miT bhī jā.eñge to mānind-e-ġhubār
shāh-rāhoñ pe bikhar jā.eñge ham
'nūr' jaulāñ hai samand-e-vahshat
aaj tā-hadd-e-nazar jā.eñge ham
lala-o-gul mein bikhar jaenge hum
kaun kahta hai ki mar jaenge hum
din isi fikr mein kaTa hum ne
raat aai to kidhar jaenge hum
aur ho jae andhera gahra
zindagi aur nikhar jaenge hum
aur barham ho nizam-e-hasti
dil ye kahta hai sanwar jaenge hum
muntazir hai koi kanTon se pare
panw kaT jaen magar jaenge hum
dekh len hum ko zamane wale
sang-o-ahan mein utar jaenge hum
jagmagate hue aiwanon se
aaina le ke guzar jaenge hum
miT bhi jaenge to manind-e-ghubar
shah-rahon pe bikhar jaenge hum
'nur' jaulan hai samand-e-wahshat
aaj ta-hadd-e-nazar jaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.