laun main kahan se bhala andaz-e-bayan aur
lā.ūñ maiñ kahāñ se bhalā andāz-e-bayāñ aur
munsif kī zabāñ aur hai aur merī zabāñ aur
ye dard samajhtā nahīñ ādāb-e-zamāna
koshish ho chhupāne kī to hotā hai ayaañ aur
qismat kā likhā maan le thoḌe se ziyāñ ko
jā.egā adālat meñ to pā.egā ziyāñ aur
tafsīl bayāñ kartā hai kyoñ apne amal kī
is tarah to har shaḳhs pe guzregā gumāñ aur
manzil pe pahuñch kar na huā dil jo mirā ḳhush
pūchhī jo vaj.h us ne kahā aur amaañ aur
tum se bhī kahāñ mujh ko samā.at kī tavaqqo
mujh meñ bhī kahāñ baaqī hai ab tāb-e-fuġhāñ aur
ye zulm ke sho.ale haiñ faqat ḳhuuñ se bujheñge
ashkoñ se bujhāoge to uTThegā dhuāñ aur
laun main kahan se bhala andaz-e-bayan aur
munsif ki zaban aur hai aur meri zaban aur
ye dard samajhta nahin aadab-e-zamana
koshish ho chhupane ki to hota hai ayan aur
qismat ka likha man le thoDe se ziyan ko
jaega adalat mein to paega ziyan aur
tafsil bayan karta hai kyon apne amal ki
is tarah to har shaKHs pe guzrega guman aur
manzil pe pahunch kar na hua dil jo mera KHush
puchhi jo wajh us ne kaha aur aman aur
tum se bhi kahan mujh ko samaat ki tawaqqo
mujh mein bhi kahan baqi hai ab tab-e-fughan aur
ye zulm ke shoale hain faqat KHun se bujhenge
ashkon se bujhaoge to uTThega dhuan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.