lazim hai laen DhunD ke KHud ko kahin se hum
lāzim hai laa.eñ DhūñD ke ḳhud ko kahīñ se ham
kyā be-niyāz ho ga.e duniyā-o-dīñ se ham
mahsūs ho rahā hai hameñ tum se mil ke aaj
jaise pahuñch ga.e hoñ falak pe zamīñ se ham
duniyā-e-pur-fareb ke andāz dekh kar
dil yuuñ bujhā ki ho ga.e ḳhalvat-nashīñ se ham
us jān-e-ārzū se mulāqāt yuuñ huī
muddat ke baad jaise mile hoñ hamīñ se ham
is husn-e-e'tiqād kī me'rāj dekhnā
ik but ko kah rahe haiñ ḳhudā kis yaqīñ se ham
phir aa ga.e haiñ kūcha-e-jānāñ meñ lauT kar
nikle the ik tavīl safar par yahīñ se ham
sīkhe kahāñ se tū ne ye andāz-e-dilbarī
jī chāhtā hai pūchh leñ us nāznīñ se ham
ham ko qadam qadam pe jo dete rahe fareb
rakhe hue haiñ aas abhī tak unhīñ se ham
fikr-o-nazar ko ishq ne baḳhshī haiñ vus'ateñ
takte haiñ āsmān kī jānib zamīñ se ham
ahl-e-nazar ke sāmne rakheñge ye ġhazal
hāsil kareñge daad kisī nukta-chīñ se ham
jis arz-e-pāk ne diyā 'mahrūm' ko janam
aa.e haiñ ai 'bahār' usī sarzamīñ se ham
lazim hai laen DhunD ke KHud ko kahin se hum
kya be-niyaz ho gae duniya-o-din se hum
mahsus ho raha hai hamein tum se mil ke aaj
jaise pahunch gae hon falak pe zamin se hum
duniya-e-pur-fareb ke andaz dekh kar
dil yun bujha ki ho gae KHalwat-nashin se hum
us jaan-e-arzu se mulaqat yun hui
muddat ke baad jaise mile hon hamin se hum
is husn-e-e'tiqad ki me'raj dekhna
ek but ko kah rahe hain KHuda kis yaqin se hum
phir aa gae hain kucha-e-jaanan mein lauT kar
nikle the ek tawil safar par yahin se hum
sikhe kahan se tu ne ye andaz-e-dilbari
ji chahta hai puchh len us naznin se hum
hum ko qadam qadam pe jo dete rahe fareb
rakhe hue hain aas abhi tak unhin se hum
fikr-o-nazar ko ishq ne baKHshi hain wus'aten
takte hain aasman ki jaanib zamin se hum
ahl-e-nazar ke samne rakhenge ye ghazal
hasil karenge dad kisi nukta-chin se hum
jis arz-e-pak ne diya 'mahrum' ko janam
aae hain ai 'bahaar' usi sarzamin se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.