lazim-o-malzum hain donon qaza aur zindagi
lāzim-o-malzūm haiñ donoñ qazā aur zindagī
ek hī ruḳh ke haiñ do pahlū ḳhudā aur zindagī
farq donoñ meñ koī mujh ko nazar aayā nahīñ
haiñ mere dekhe hue husn-o-adā aur zindagī
in badalte mausamoñ ke muḳhtalif rañgoñ kā raqs
mere apne dil kī hai āb-o-havā aur zindagī
vaqt kī bāteñ haiñ ye ab dekh kar hairāñ na ho
ro rahe haiñ aaj donoñ dil mirā aur zindagī
kis tarah biitā safar pūchhā to sab ne ye kahā
dhuup aur chhāñv kā rasta qāfila aur zindagī
zindagī se to ḳhafā huuñ par qazā se ḳhauf hai
aur donoñ hī bulāte haiñ qazā aur zindagī
maiñ ne jo pūchhā ki rāhat DhūñDne jā.ūñ kahāñ
Chup rahe donoñ hī merā ham-navā aur zindagī
lazim-o-malzum hain donon qaza aur zindagi
ek hi ruKH ke hain do pahlu KHuda aur zindagi
farq donon mein koi mujh ko nazar aaya nahin
hain mere dekhe hue husn-o-ada aur zindagi
in badalte mausamon ke muKHtalif rangon ka raqs
mere apne dil ki hai aab-o-hawa aur zindagi
waqt ki baaten hain ye ab dekh kar hairan na ho
ro rahe hain aaj donon dil mera aur zindagi
kis tarah bita safar puchha to sab ne ye kaha
dhup aur chhanw ka rasta qafila aur zindagi
zindagi se to KHafa hun par qaza se KHauf hai
aur donon hi bulate hain qaza aur zindagi
main ne jo puchha ki rahat DhunDne jaun kahan
Chup rahe donon hi mera ham-nawa aur zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.