lazmi to nahin wali ho jae
lāzmī to nahīñ valī ho jaa.e
aadmī kaash aadmī ho jaa.e
kyuuñ na badnām-e-āshiqī ho jaa.e
jab lagī dil kī dil lagī ho jaa.e
roz kā TūTnā bikharnā kyuuñ
jo bhī honā hai aaj hī ho jaa.e
lamha lamha jiyūñ tujhe jānāñ
tū agar merī zindagī ho jaa.e
merī āñkheñ chhalakne lagtī haiñ
gar koī dost ajnabī ho jaa.e
ghar hamārā dhuāñ dhuāñ sā hai
khol khiḌkī ki raushnī ho jaa.e
kaun 'aijāz' par karegā use
apne andar agar kamī ho jaa.e
lazmi to nahin wali ho jae
aadmi kash aadmi ho jae
kyun na badnam-e-ashiqi ho jae
jab lagi dil ki dil lagi ho jae
roz ka TuTna bikharna kyun
jo bhi hona hai aaj hi ho jae
lamha lamha jiyun tujhe jaanan
tu agar meri zindagi ho jae
meri aankhen chhalakne lagti hain
gar koi dost ajnabi ho jae
ghar hamara dhuan dhuan sa hai
khol khiDki ki raushni ho jae
kaun 'aijaz' par karega use
apne andar agar kami ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.