lab-basta hun behis hun main mahrum-e-sada hun
lab-basta hun behis hun main mahrum-e-sada hun
Syed Qadir Muhiuddin Mahir
MORE BYSyed Qadir Muhiuddin Mahir
lab-basta huuñ behis huuñ maiñ mahrūm-e-sadā huuñ
ik sang-e-girāñ ban ke sar-e-rāh paḌā huuñ
khulte hī nahīñ shahr-e-nigārāñ ke darīche
kab se maiñ yūñhī kāsa-e-dil le ke khaḌā huuñ
armān-o-tamanna kā uThā.e hue lāsha
sahrā meñ bagūle kī tarah ghuum rahā huuñ
din-bhar ġham-e-ayyām ke sahrā meñ bhaTak kar
har raat kisī yaad kī bhaTTī meñ jalā huuñ
ik talḳh haqīqat ko chhupā.e hue dil meñ
har sub.h-o-masā dard kī suulī pe chaḌhā huuñ
lab-basta hun behis hun main mahrum-e-sada hun
ek sang-e-giran ban ke sar-e-rah paDa hun
khulte hi nahin shahr-e-nigaran ke dariche
kab se main yunhi kasa-e-dil le ke khaDa hun
arman-o-tamanna ka uThae hue lasha
sahra mein bagule ki tarah ghum raha hun
din-bhar gham-e-ayyam ke sahra mein bhaTak kar
har raat kisi yaad ki bhaTTi mein jala hun
ek talKH haqiqat ko chhupae hue dil mein
har subh-o-masa dard ki suli pe chaDha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.